Thursday, 25 July 2013

khwahish hay k iss toor se jeewan ko guzaroon
har aks tere husn ka ankhun main utaroon...

woh tishna labi hay k samjh kuch nahi ata
dariya ko sada doon k samander ko pukaroon...

jeewan bhi tu uljhi hoi doroon ki terha hay
iss soch main gum hon k isey kaise guzaroon...?

ab iss k siwa mera koi khwaab nahi hay
her saans ko khushnoodi e janaa pe main waroon...

No comments:

Post a Comment