Thursday, 25 July 2013

bujhi hui sha'ma ka dhuaan hun, aur apne markaz ko ja raha hun
k dil ki hasrat to mit chuki hai, ab apni hasti mita raha hun

ye teri hi soorat k dekhne ko, butoon ki tasweerain la raha hun
k khoobian sab ki jama kr k, tera tasawur jama raha hun

kafan mai khud ko chupa lia hai, k tujh ko parday ki ho na zehmat
naqab apne liye bana kr, hijab tera utha raha hun

mohabbat insaan ki hai fitrat, kahan hai imkan-e-tark-e-ulfat
wo aur bhi yaad aa rahe hain, mai un ko jitna bhula raha hun...


No comments:

Post a Comment